Pages

Wednesday 13 June 2012

Pehnnay or Orhnay k adaab


Farmaya Rasool (SallalLaHo AlyhayWaAleheWasalam) nay k:
1-     Jis Shahkis nay apnay teeh band ko takabur k toor par etratay hoay ghaseeta ALLAH T’ala Qayamat k din us ki taraf rehmat say na dekhein gay. (Bukhari –o- Muslim).
2-     Rasool (SallalLaHo AlyhayWaAleheWasalam) nay Farmaya k takhnay say nechay jo teeh band (Pajama ETc) ka hissa ho ga wo Dozakh (Hell) main main ho ga (Bukhari)  yani takhnay say nechay kapray pehnna dozakh main lay janay ka sabab hay.
3-     Hazrat Asma Bintay Yazeed  (Razi Allah-o-Ta ala Anha) say rawayat hay k Rasool (SallalLaHo AlyhayWaAleheWasalam) ki asteen panchay tak thee. (Termzi)
4-     Hazrat Samra (Razi Allah-o-Ta ala Anha)  say rawayat hay k Rasool (SallalLaHo AlyhayWaAleheWasalam) nay ershad farmaya k safaid (white) kapray pehno kunkay yay saaf suthray or pakeeza hotay hain or safaid (white) kapron main apny mordon ko kafan do (Termzi).

5-     Hazrat Rakana (Razi Allah-o-Ta ala Anha) say rawayat hay k  Rasool (SallalLaHo AlyhayWaAleheWasalam) nay farmaya k hamaray or mushrikeen (Kafiron) k darmiyan topiyon (caps) par pagriyon honay ka farak hay (Termzi). Yani pagri bandnay ki soorat main us k nechay topi b honi cheyay.
6-     Hazrat Ebn-a-Umer (Razi Allah-o-Ta ala Anho)  say rawayat hay k Rasool (SallalLaHo AlyhayWaAleheWasalam) jab pagri bandhtay thay to emama ka Shimla mondhon k darmiyan daal detay thay (Termzi)
7-     Ek Martaba Rasool (SallalLaHo AlyhayWaAleheWasalam) nay Hazrat Abdur Rehman bin Oof ko Pagri Pehnae to us ka ek kanara samnay ki taraf or dosra kinara pechay ki tarf dal dia (Abu Daood). Yani pagri k dono tarf ek ek Shimla kar dia or ek ko agay or ek ko pechay daal dia.
8-     Or farmaya Rasool (SallalLaHo AlyhayWaAleheWasalam) khao peyo or sadqa karo or pehno (lakin) es haadh tak k fazool kharchi or gharoor (yani shaikhe pan) ki milawat na ho (Masnad Ahmed)
9-     Yay b farmaya k mare umat ki aurton par Sona (Gold) or Raishem (Silk) Halal hay or Mardoon par haram kar dia gaya hay (Termzi).
10-  Or farmaya k jis nay duniya main nam-o-namood ka libas pehna Allah T’ala usy qayamat ki din zilat ka libas pehnay ga (masnad Ahmed ).
11- Neez ershad farmaya k jab tum kapray pehno or jab tum wozu karo to dahni (right) tarf say shuru kia karo (Abu Daood).
12- Mard aurat ka or aurat mard ka libas na pehnay kunkay es say khuda ki lanat hoti hay (Abu daood).
13- Joota (shoes) pehntay wakat phlay dahnay (Right) paon main joota dala or jab joota utaro to phlay bayan (Left) paon nikalo. (Bukahari)
14- Ek joota pehn k mat chalo dono jotay utaro ya dono pahan lo (Bukahari)

No comments:

Post a Comment